“Ye teri meri duriya bhi na hume khud se juda karti hai,
Kabhi aankho me aansu kabhi khushyo se bhar deti hai,”
Ye teri meri duriya kyu saalo si lagti hai,
Jab bhi udas mann mera hota hai tere paas aakar rone ka mann kyu karta hai,
Kya tum bhi yahi mehsus karti ho kya dur tum reh sakti ho,
Koi Khushi jab milti hai tumhare saath hi batne ko mann karta hai,
Kyu fasle mere tere is tarah hai kab khatam hoga ye,
Kuch kimti pal tere hi saath rehne ka mann karta hai tere hantho ko tham kar ankho me dekhte huye dil se dil ki baato ko karne ka mann karta hai,
Ye teri meri duriya bhi na hume khud se juda karti hai,
Kabhi hum ladte hai kabhi puri raat rote hai khud k aansu bhi khud hi pocha karte hai,
Jin haantho ko mai apne haantho me mehsus karna chahta hu wo kyu mujhse itna dur rehta hai,
Ye fasle ab bardast nahi hote kuch dil ki baat tumse ab sirf tumhare saamne reh kar karne ka mann karta hai,
Tere gamo ko tere taklifo ko mai bhi baat saku tere dard ko kam karu tere paas humesha mai rahu yahi ji karta hai,
Mere paas humesha tum raho yahi ab chahta hu,
Zindagi k bache saare pal tere saath jina chahta hu,
Un har pal ko khushyo se bharna chahta hu,
Kismat bhi khel khel le kitna bhi bas zid hai ab tere baaho me hi aakhari sas lena chahta hu,
Tere baaho me apne saare gum bhulna chahta hu sirf or sirf ab tera hoke hi rehna chahta hu,
Samay kitna bhi parikshaye lele meri ek baat kahu kitna keh lu mai dur chala jaunga magar sach yahi hai,
Dur ja k mai zinda hi mar jaunga kabhi tumse dur nahi reh paunga,
Agar tumne bhi dur kardiya mujhe toh sach kehta hu kabhi ji nahi paunga,
Kisi din bas khud ko fana karlunga is duniya se jo mai tujhe na paunga,
Ye teri meri duriya mai seh nahi paunga paas reh kar kitni bhi baate suna lena mai sab seh jaunga,
Dur reh kar mujhse dur jaane ki baat na karna warna mai kabhi laut na paunga,
Tera mera Rishta koi bta nahi sakta kitna kimti hai,
Samay meri or kitne imtehan lega mere dil kitne tukde kar k manega,
Ye teri meri duriya bhi na…!!
Wow nice lines